Wednesday, August 29, 2012

'Gar ishq hai

Bahane dhundhu main
Teri awaz ko sunne
Un dhaago ko le chali main
Khwaabon ko bunne…

Do khirkiyaan hai
Tere sheher ko jhaankun
Un gehraiyon mein khokar
Khud ko jaise paaun

Zindagi se shikwa to kayi hai
Par maaf hai saare zakhm
Bas lavz bina tu samjhe
Saath chale har dum…

Phir kya pata, ab tak toh bas caravan tha
Tu hi hai manzil…
Is kadar tune jagah banayi…
Jaise tha bas tera ye dil…

Jab nigaahe dhundhe bheed mein tujhko…
Aur tere liye bhi bas main…
Kyun pareshaan kare tu khudko…
'Gar ishq hai to hai…

© Manashi Pathak

No comments: